Uska taswwur

Ek gumnam rahi hu anjan basti ka mera safar uski aankho me meri manzil uska dil he : Wo kisi khilte kamal si haseen he sara shahar uske rang se rangin he: me kya lagta hu uska ye samjh pana thoda mushkil he : Ab kya kahu uske baare me uski tafseer karna gair mumkin he: la jawab kahu ya be misal ye chand lafz keh dena uski tohin he : ye nahi he ki me hi talabgar hu uska jisne bhi uske bare me suna he har koi uske deedar ka shokin: uski tasveer bana du to log sajde karenge par ye bhi to mere ishq ki tohin he: Chalo uski aankho ka btata hu raat ke andhere me chamakti hui jheel he : Uske honto ko yu samjho ki khila hua gulab Unke aage fizool he : • Baat gar uski zulfo ki. karuin to lafz kaha se launga chodo yrr mene kaha thana uski tafseer gair mumkin he: be parvah he bohot apne aap.ko lekar jese behti hui saba he jiski kon jane kaha manzil he. me use padh paane ke kabil nahi hu urdu zaban he wo or ye shakhs jahil he.:wo ziddi he ye kehna galat hoga bas apni marzi ki malik he uske apne usool hai:in chand lafzo se andaza mat lgana uski shaksiyat ka mene kaha thana uski tafseer gair mumkin he☺️

Comments

Popular posts from this blog

तेरी यादें

मेने देखा है